📖 سورة لقمان (Ayat 14)
وَوَصَّيْنَا الْإِنسَانَ بِوَالِدَيْهِ ۖ حَمَلَتْهُ أُمُّهُ وَهْنًا عَلَىٰ وَهْنٍ وَفِصَالُهُ فِي عَامَيْنِ ۖ أَنِ اشْكُرْ لِي وَلِوَالِدَيْكَ ۖ إِلَيَّ الْمَصِيرُ
Aur humne insaan ko uske walidain ke bare me takid ki. Uski maa ne use kamzori par kamzori uthakar paida kiya aur do saal me uska doodh chhudaana hai. (Humne kaha) mera aur apne walidain ka shukar ada karo, tum sab ko meri taraf hi laut kar aana hai.
Is ayat me Allah Ta’ala ne walidain ke huqooq ki ahmiyat bayan ki hai, khaas tor par maa ki takleef aur mehnat ka zikr kiya gaya hai. Yeh humein shukar aur ehtram ki taleem deti hai.
Walidain ka ehtram farz hai
Maa ki qurbani ko yaad rakho
Allah aur walidain ka shukar ada karo
Akhirat ki tayyari karo

Comments
Post a Comment